Ostan Stars
Tere jaisa kaun hain(Elshadai aaradhana)
Tere jaisa kaun hain
Jo mera bhala kare
Mera bharosa sirf tujhpar prabhu -- (2)

Mere jeevan ka swami
Adhaar bana tu prabhuji
Tu nahi toh mera jeevan
Vyarth ho… jayega

Chorus
----------
Elshadai aaradhana
Elohim aaradhana
Adonai aaradhana
Yeshua aaradhana -- (2)

1. Bechaini mein mujhe paakar
Aansu mere poche tune
Aakhoan ki putli jaise
Jeevan bhar sambhala mujhe -- (2) -- Elshadai aaradhana

2. Mrityu ke raaste par
Tute dil ko liye khadaa tha
Changa karne waala bankar
Mujhe naya jeevan diya -- (2) -- Elshadai aaradhana