Asim Azhar
Tera Woh Pyar (Nawazishein Karam)
Baaten teri karte hue
Thak ke so jaati hoon sirhaane aasamaan
Jaane kahaan muṛ jaati hain
Dekhte dekhte tujhe ye galiyaan
Teri tarh khushboo chale
Taare hamaari tarh raaton se mile

Suni naheen zamaane ne teri meri kahaaniyaan
Karde koyi nawaazishen karam meherbaaniyaan
Ye aarzu thi ke dekhe ye duniya
Ham jaisa koi deewaana hi naheen
Karde koi nawaazishen karam meherbaaniyaan

Raat andheri mein chhup rahe the
Gum ek sawera ḍhoonḍ rahe the
Sadiyon se jaise jaag rahe the
Pyaar ko apne ḍhaanp rahe the

Phir gir paṛe
Koi mila na sahaara kya karein
Suni naheen zamaane ne teri meri kahaaniyaan
Tera wo pyaar yaad aayega
Bhoole ga na ye dil mera
Kya ho gaya socha na tha

Tera wo pyaar, Tera wo pyaar
Tera wo pyaar, Tera wo pyaar
Tera wo pyaar, Tera wo pyaar
Tera wo pyaar, Tera wo pyaar
Teri wo khaamoshiyaan
Keh deti thi woi sabhi jo tu na keh saki
Kaise bataati tujhe
Sharmaati thi main jaise aanchal men jalta diya
Khoye kahaan mujhko bata

Tera wo pyaar yaad aayega
Bhoolega na ye dil mera
Tera wo pyaar yaad aayega
Bhoolega na ye dil mera
Kya ho gaya socha na tha