Lata Mangeshkar
Narayan
[Intro]
Jai Narayan, swami Narayan, jai Narayan

[Hook]
Alakh niranjan bhav bhay bhanjan
Janam naranjan data, janam naranjan data
Hame sharan de apne charan mein
Kar nirbhay jag trata, kar nirbhay jag trata

Tune laakhon ki naiya taari taari Hari Hari

Jai jai Narayan Narayan Hari Hari
Swami Narayan Narayan Hari Hari
Teri leela sabse nyaari nyaari, Hari Hari
Teri leela sabse nyaari nyaari, Hari Hari
Teri mahima prabhu hai pyaari pyaari, Hari Hari

[Verse]
Pita they Kashyap aur Diti thi maa
Hari ka vairi tha suno wo naam
Hiranyakashyap tha raja ghamandi
Swyam ko kehta tha bas bhawagn
Brahma ka tap tha kiya kathor
Devo ne usko tha roka bahut
Aandhi bhi bheji aur bheja toofan
Par ruke na uske hontho ke bol
Tap ka bhaav tha uska atal
Devo ne roka par raha achal
Zor tha aisa uski atalata mein
Brahma bhi pahunche fir dene ko var
Aankhein khuli to maanga ye var
Na pashu aadmi chhu sake sar
Shastr koi mujhe chhu na sake
Astra bhi ho mere aage bifal
Din mein marun, na raat mein
Na sthal pe na aakash mein
Dev-ausr na kare prahaar
Na bheetar marun, na marun bahar
Raat likhi na maut ho
Na din mein bhi koi le mere praan
Maar sake na koi Gandharv
Amar rahe bas meri ye shaan
Paa ke ye var tha chadha aham
Har prani tha jaata usse seham
Maar sake na koi use
Bas yehi tha paala jhoota veham
Paapo ko dharti na karti sehan
Paapi pe Hari na karte reham
Aate hai swyam prabhu dhara mein
Karne ko bhang paapi veham
[Hook]
Parbhu ke naam ka paras jo chhoo le
Wo ho jaye sona, wo ho jaaye sona
Do askhar ka shabd Hari hai
Lekin bada salona, lekin bada salon

Tune laakhon ki naiya taari taari Hari Hari

Jai jai Narayan Narayan Hari Hari
Swami Narayan Narayan Hari Hari
Teri leela sabse nyaari nyaari, Hari Hari
Teri leela sabse nyaari nyaari, Hari Hari
Teri mahima prabhu hai pyaari pyaari, Hari Hari

[Verse]
Raja na tha wo shaks Hari ka
Use na bhaata tha aks Hari ka
Jahan tha Hari ka naam nishedh
Wahin pe janma tha bhakt Hari ka
Naam uska tha tha bhaag
Jahan they rehte sabhi asur
Hari ka naam wahan gaya tha jaag
Pata laga jo khaula tha rakt
Beta tha uska Hari ka bhakt
Kiya tha bete ko waise sachet
Rok naam ye isi tu waqt
Beta to gaata par Hari ka chhand
Dekh use hua Pita prachand
Kuch bhi na sujhi to kar baitha tay
Ki bete ko de dega mrityu ka dand
Kaaraagaar mein fenka use
Jahan chaaro taraf they sarp bichhe
Leela Hari ki badi ajab
Na sarp use they chhu bhi sake
Diya tha vish aur khaai se fenka tha
Raja ke karmo ko Hari ne dekha tha
Kaise bhala use maut chhue
Hari ki chhaya mein raja ka beta tha
Usko mila tha var bhi ajeeb
Laptein na chhuyegi uska shareer
Naam Holika tha uska
Prahlad ko god pe le baithi fir
Jwala mein baithi na dari zara
Hari naam ka jaadu chala
Prahlad ko na haani hui
Khud ko wo baithi par poori jala
[Hook]
Man mein socha to yeh jaana
Bin tere yahan pe koi na saga, koi na sag
Bin tere yahan pe koi na saga, koi na sag

Hum tujh pe jaaye vaari vaa....

[Verse]
Krodh ki jwala thi bhaari jali
Jwala mein chhaatee thi saari jaali
Poocha tha bete se hoke kafa
Kahan pe rehta hai tera Hari?
Bola Prahlad rakh ke sabar
Saare hi sthaano ko unki khabar
Hari dikhenge chaaro taraf
Pyaar se dekhe jo bhakti nazar

[Hiranyakashyap]
Yadi is kambe mein bhi tera bhagwan hai
To aaj.... na ye khamba rahega na tera Bhagwan

Khamba jo toota to faila tha darr
Suni daahad jo kaanpa tha sthal
Bhaari se haathon mein panje they paine
Dadh tha nar ka, sher ka sar
Maun hue sab, mare they shabd
Sabha mein sab gaye peeche they hatt
Narsingh ban ke pahaunche Hari
Hiranyakashyap ka karne ko vadh
Hari ki god uska wazan
Paapi jo kehta tha main hoon amar
Bole wo kar tu yaad zara
Brahma se maanga tha tune kya var?
Pet pe panje rakhte hi maano praan they uske aadhe bahar
Gaadhe jo panje to peeda se uski dono hi thi aankehin bahar
Panjo se cheera tha maans Hari ne, rakt baha tha jaise prapaat
Kaanpe they log ye dekh ghadi cheekhon ke saath thi aantein bahar
Panjon pe khoon, swar mein garjan, aankhon mein krodh aur nukeele daant
Hari jo rehte they sada hi shaant unmein bhari thi krodh ki aag
Gaya Prahlad paas prabhu ke, paas baithaya use Hari ne
Unka aaradhak hi kar sakta hai Hari ko shaant
[Hook]
Jai jai Narayan Narayan Hari Hari
Swami Narayan Narayan Hari Hari
Teri leela sabse nyaari nyaari, Hari Hari
Teri leela sabse nyaari nyaari, Hari Hari
Teri mahima prabhu hai pyaari pyaari, Hari Hari (Jai Narayan}

Jeebh, Hari nam....nahi chor sakti