Lata Mangeshkar
Hava Hai Sard Sard - Slow
Hava hai sard sard aur dil mein bhi hai dard
Barasi hai kaheen aaj ghata
Mausam ka rang hai ajeeb, bulbul se phool hai kareeb
Aaye bahaar ke kadam, jaaga hai baag ka naseeb
Sunake ghata ka shor,jungal mein naacha mor
Barasi hai kaheen aaj ghata
Shaaken savar savar gayee, kaliyaan nikar nikar gayi
Dekha sama jhula jhulaa, nazren jidhar jidhar gayi
Kaisa ajab hai rang, bheega hai ang ang
Barasi hai kaheen aaj ghata
Hava hai sard sard...