Lata Mangeshkar
Tune O Rangeele
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya-piya bole matwaala jiya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya-piya bole matwaala jiya

Baahon mein chhupaake ye kya kiya, o re piya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya-piya bole matwaala jiya

Paas bulaake gale se lagaake
Tune to badal daali duniya
Naye hain nazaare, naye hain ishaare
Rahi na wo kal waali duniya
Paas bulaake gale se lagaake
Tune to badal daali duniya
Naye hain nazaare, naye hain ishaare
Rahi na wo kal waali duniya

Sapne dikhaake yeh kya kiya, o re piya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya-piya bole matwaala jiya

O mere saajan, kaisi ye dhadkan
Shor machaane lagi mann mein
Jaise laheraaye nadiya ka paani
Laher uthe re mere tan mein
O mere saajan, kaisi ye dhadkan
Shor machaane lagi mann mein
Jaise laheraaye nadiya ka paani
Laher uthe re mere tan mein
Mujhmein samaake ye kya kiya, o re piya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya-piya bole matwaala jiya

Baahon mein chhupaake ye kya kiya, o re piya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya-piya bole matwaala jiya