Ali Zafar
Jaan-E-Bahaaraan
Jaan-i bahaaraan rashk-i chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-i man
Jaan-i bahaaraan rashk-i chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-i man
Jaan-i bahaaraan

Jannat ki hooren tujh pih fida
Raftaar jaise mauj-i saba
Rangeen-ada tauba-shikan
Ay jaan-i man
Jaan-i bahaaraan

Jaan-i bahaaraan rashk-i chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Jaan-i bahaaraan o jaan-i man

Jaan-i bahaaran o jaan-i man
Nazron ne teri kiya hai sitam
Qaus-i quzah ki ye rangeeniyaan
Jaadu kiya hai ye tu ne sanam
Taubah hai taubah teri ada
Us ki ‘inaayat husn tira
Rangeen-jamaal naazuk-badan
Gul-pairahan sarw-i chaman
Jaan-i bahaaraan o jaan-i man
Sham‘-i furozaan aankhen tiri
Har ik nazar men jaadu-gari
Zulfen tiri mushk-i khutan
Ay jaan-i man
Jaan-i bahaaraan

Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa naeen
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-i man ay jaan-i man

Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Har ik nazar men jaadu-gari
Zulfen tiri mushk-i khutan

Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa naeen
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-i man ay jaan-i man