Kumar Sanu
Chand Sitare
[Chorus]
Chand, sitare, phool aur khushboo
Chand, sitare, phool aur khushboo, ye to saare purane hain
Taaza-taaza kali khili hai, hum uske deewane hain
Are kaali ghatayein, barkha, saawan
Kaali ghatayein, barkha, saawan, ye to sabh afaasne hain
Taaza-taaza kali khili hai, hum uske deewane hain

[Verse 1]
Andaaz hain uske naye-naye, hai naya-naya deewana pan

Pehna ke taaj jawani ka, hans ke laut gaya bachpan
Geet-ghazal sab kal ki baatein, ho
Geet-ghazal sabh kal ki baatein, uske naye tarane hain
Taaza-taaza kali khili hai, hum uske deewane hain

[Instrumental-break]

[Verse 2]
Hai roop mein itna saada pan, to kitna sundar hoga mann

Bin gehne aur singaar bina, wo to lagti hai dulhan
Kajal, bindiyaa, kangan, jhumke
Are kajal, bindiyaa, kangan, jhumke ye to guzr zamaane hain
Taaza-taaza kali khili hai, hum uske deewane hain
[Instrumental-break]

[Chorus]
Chand, sitare, phool aur khushboo, ye to saare purane hain
Taaza-taaza kali khili hai, hum uske deewane hain
Are kaali ghatayein, barkha, saawan, ye to sabh afaasne hain