Shankar Mahadevan
Kandhon Se Milte Hain Kandhe
[Chorus]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

[Verse]
Ab to humein aage badhte hai rehna
Ab to humein, saathi, hai bas itna hi kehna
Ab to humein aage badhte hai rehna
Ab to humein, saathi, hai bas itna hi kehna

[Pre-Chorus]
Ab jo bhi ho shola banke patthar hai pighlana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhana

[Chorus]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain
Kandhon se miltе hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chaltе hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

[Verse]
Nikle hain maidaan mein hum jaan hatheli par lekar
Ab dekho dam lenge hum jaake apni manzil par
Khatron se hans ke khelna itni to hum mein himmat hai
Modein kalayi maut ki itni to hum mein taaqat hai

Hum sarhadon ke vaaste lohe ki ik deewaar hain
Hum dushmanon ke vaaste hoshiyaar hain, taiyar hain

[Pre-Chorus]
Ab jo bhi ho shola banke patthar hai pighlana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhana

[Chorus]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain
[Verse]
Josh dil mein jagate chalo, jeet ke geet gaate chalo
Josh dil mein jagate chalo, jeet ke geet gaate chalo

Jeet ki jo tasveer banane hum nikle hain apne lahoo se
Humko usmein rang bharna hai
Saathi maine apne dil mein ab ye thaan liya hain
Ya to ab karna hain, ya to ab marna hain

Chahe angare barse ke bijli gire
Tu akela nahin hoga yaara mere
Koi mushkil ho ya ho koi morcha
Saath har mod par honge saathi tere

[Pre-Chorus]
Ab jo bhi ho shola banke patthar hai pighlana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhana

[Chorus]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

[Instrumental-break]
[Verse]
Ek chehra aksar mujhe yaad aataa hain is
Dil ko chupke-chupke wo tadpata hain
Jab ghar se koi bhi khat aaya hai
Kaagaz ko maine bheega-bheega paaya hai

O, palkon pe yaadon ke kuchh deep jaise jalte hain
Kuch sapne aise hain, jo saath-saath chalte hain
Koi sapna na tute, koi waada na tute
Tum chaho jise dil se, wo tumse na roothe

[Pre-Chorus]
Ab jo bhi ho shola banke patthar hai pighlana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhana

[Chorus]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

[Verse]
Chalta hai jo ye kaarwan
Oonji si hain ye waadiyan

Hai ye zameen (goonji -goonji), ye aasman (goonja-goonja)
Hai ye hawa (goonji -goonji), hai ye samaa (goonja-goonja)

Har raste ne, har wadi ne, har parbat ne sada di
Hum jeeteinge, hum jeeteinge, hum jeeteinge har baazi

[Chorus]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

[Outro]
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmo se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain