Vital Signs
Mera Dil
Dil ka nagar
Ab bassay na bassay
Kar liya faisla
Muskurayein ge

Gham hain hazaar
Uljhanein beshumaar
Par koi gham gusar
Ab nahi chahiye
Haan, nahi chahiye

Gham uthayein ge
Muskurayein ge

Mera dil nahi available
Koi aur dar khat khatao
Acha sa koi dil khareedo
Phir uss se bhi daaman churhao

Yaad aaye jo
Dard ki raat mein
Jis ki baat ho
Apni har baat mein

Chehra woh koi
Ab nazar mein nahi
Aisa koi haseen
Iss shehar mein nahi
Rahguzar mein nahi
Na hai intazaar
Na hum bekaraar

Mera dil nahi available
Koi aur dar khat khatao
Acha sa koi dil khareedo
Phir uss se bhi daaman churhao

Mera dil nahi available
Koi aur dar khat khatao
Acha sa koi dil khareedo
Phir uss se bhi daaman churhao

Mera dil nahi available
Koi aur dar khat khatao
Acha sa koi dil khareedo
Phir uss se bhi daaman churhao

Mera dil nahi available
Koi aur dar khat khatao
Acha sa koi dil khareebo
Phir uss se bhi daaman churhao

Mera dil nahi available
Koi aur dar khat khatao
Acha sa koi dil khareebo
Phir uss se bhi daaman churhao
Mera dil nahi available