Vital Signs
Musafir
Mere dil tu hai musafir
Zindagi aik safar hai
Kya jaanun teri manzil
Hai kahan?

Bachpan ke din aur jawaani
Jaayein toh phir na aayein
Beetay din, beeti kahani
Bhool ja

Maana ke mushkil hai raahein
Saathi bhi koi nahi
Chalna toh hai
Rukna kahin
Mumkin nahi

Mere dil tu hai musafir
Zindagi aik safar hai
Kya jaanun teri manzil
Hai kahan?

Bachpan ke din aur jawaani
Jaayein toh phir na aayein
Beetay din, beeti kahani
Bhool ja
Toofan laakhon chupay hain
Aankhein barasti nahi
Kuch bhi kaho
Hansti nahi
Barasti nahi

Uss ke bina
Hansti nahi
Barasti nahi

Mere dil tu hai musafir
Zindagi aik safar hai