Pritam
Tu Hi Haqeeqat
Tu hi haqeeqat, khwaab tu
Dariya tu hi, pyaas tu
Tu hi dil ki beqaraari
Tu sukoon, tu sukoon..

Jaau mein ab jab, jis jagah
Paau mein tujhko, uss jagah
Saath ho ke, na ho, tu hai
Roobaroo, roobaroo..

Tu humsafar
Tu humkadam
Tu humnava mera..

Aa tujhe inn baahon mein bharke
Aur bhi karlu mein kareeb
Tu judaa ho, toh lagey hai
Aata jaata har pal ajeeb..

Is jahaan mein, hai aur na hoga
Mujhsa koi bhi khushnaseeb
Tuney mujhko dil diya hai
Mein hoon tere sabse kareeb
Mein hi toh tere, dil mein hoon
Mein hi toh saanson, mein basu
Tere dil ki, dhadkanon mein
Mein hi hoon, mein hi hoon..
Tu humsafar
Tu humkadam
Tu humnava mera..

Kab bhala ab ye waqt guzrey
Kuch pata chalta hi nahi
Jab se mujhko tu mila hai
Hosh kuch bhi apna nahi..

Uff yeh teri, palkein ghani si
Chaaon inki, hai dilnasheen
Ab kisey darr, dhoop ka hai
Kyunki hai ye mujhpe beechi..

Tere binaa na, saans loon
Tere binaa na, mein jiyu
Tere binaa na, ek pal bhi
Reh saku, reh saku..

Tu hi haqeeqat, khwaab tu
Dariya tu hi, pyaas tu
Tu hi dil ki, beqaraari
Tu sukoon, tu sukoon..

Tu humsafar
Tu humkadam
Tu humnava mera..