Amit Trivedi
Jaan ’Nisaar (Asees Version)
[Chorus]
Na maaregi deewangi meri, na maaregi awaargi meri
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri
Kyun itna huaa hai tu khafa?
Hai zidd kis baat ki teri?
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri

[Post-Chorus]
Jaan ‘nisaar hai, jaan ‘nisaar
Tere pyaar pe mere yaar, jaan ‘nisaar hai

[Verse]
Duniya zamaane se rishte mitaaye hain
Tujhse hi yaari hai humari, ek baar to aa
Maine nibhaya hai, karke dikhaaya hai
Le teri baari, ik vaari tu bhi pyar nibha
Tu bhi pyaar nibha, o yaara

[Chorus]
Teri berukhi se hai badi, umar intezaar ki meri
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri
Kyun itna huaa hai tu khafa?
Hai zidd kis baat ki teri?
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri

[Post-Chorus]
Jaan ‘nisaar hai, jaan ‘nisaar
Tere pyaar pe mere yaar
Jaan ‘nisaar hai, jaan ‘nisaar
Tere pyaar pe mere yaar, jaan ‘nisaar hai