Nusrat Fateh Ali Khan
Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Le
Aankh uthi
My eyes have awoken

Mohabbat ne angrayi li
Love has yawned

Dil ka sauda hua chaandni raat mein
My heart was sold on that starry moonlit night

Tanhai Mein Faryaad Toh Kar Sakta Hoon
In loneliness, I can plaint [lament, audible expression of sorrow]

Veerane Ko Aabaad Toh Kar Sakta Hoon
I can populate an abandoned/dead place

Jab Chahoon Tumhe Mil Nahi Sakta Lekin
When I want to, I can't meet you but

Jab Chahoon Tumhe Yaad toh Kar Sakta Hoon
When I want, I can remember you

Achi Surat Ko Savarne Ki Zaroorat Kya Hai
What's the purpose of complimenting/adorning your already beautiful face?

Saadgi Mein Bhi Qiyamat Ki Ada Hoti Hai
Even in simplicity, you strike me as the day of judgemеnt
Tum Jo aa jaate ho Masjid mein Ada Karne Namaaz
You, who comеs to the mosque to do your prayers

Tum ko maalum hai kitno ki Kaja Hoti Hai
Do you know how many people's prayers are disrupted because of you?

Mainay Masoom Baharo Mein Tumhe Dekha hai
I have seen you in innocent springs

Maine Parnoor Sitaro Mein Tumhe Dekha Hai
I have seen you in luminous stars

Mere Mehboob, Teri Parda Naseeli Ki Kasam
My beloved, I swear on your veiled beauty

Maine Ashko Ki Kataro Mein Tumhe Dekha Hai
I have seen you through a stream/shower of tears

Aaj Ki Baat
Today's conversation

Aaj Ki Baat
Today's conversation

Aaj Ki Baat
Today's conversation
Phir Nhi Hogi
Will never happen again

Yeh Mulakaat Phir Nhi Hogi
This meeting will never happen again

Aise Baadal Toh Phir Bhi aayege
These clouds will still come

Aisi Barsaat Phir Nhi Hogi
Rainfall such as this, will never happen again

Raat Unko Bhi Yu Hua Mehsoos
At night they felt the same thing

Jaise Yeh Raat Phir Nhi Hogi
Like this night will never happen again

Ek Nazar Mur Ke Dekhne Wale
They, who gazed once, and then looked back

Kya yeh hehraat phir nhi hogi?
Will this charity ever happen again?

Chandni Raat Yaad Aati Hai
I remember the moonlit night
Woh Mulakaat Yaad Aati Hai
I remember our meeting

Dekh Kar Un Ghaneri Zulfaon Ko
Looking at her thick (luscious) hair and (long beautiful locks)

Mast Barsaat Yaad Aati Hai
I remember that enchanting rainfall

Aankh uthi
My eyes have awoken

Mohabbat ne angdayi li
Love has yawned

Dil ka sauda hua chaandni raat mein
My heart was sold on that starry moonlit night

Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Her eyes did some sort of magic on me

Loot gaye hum to pehli mulakaat mein
I was robbed on my first meeting with her

Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Loot gaye hum to pehli mulakaat mein

Khud Tarap kar un ke janib dil gaya
My heart trembled and went to her

Sharab seekh pay dali, kabab sheeshay main
Placed alcohol on a kebab, and put the kebab in the glass (meaning he's gone crazy)

Hum pay aisa jadoo kiya Unki nazroo nay
Her eyes did some sort of magic on me

Hum hosh bhi apne bhul gaye
We have forgotten our conscience

Imaan bhi apna bhul gaye
We forgot our faith

Aik dil hi nahi us bas mein
My heart is not set on that gathering

Hum na jaane kiya kiya bhul gaye
I don't know of the things I've forgotten

Jo baat thi unko kehne ki
What I was going to say to her

Wo baat hi kehna bhul gaye
I even forgot that

Ghairoon ke fasane yaad rahe
I remembered the stories of others

Hum apna fasana bhul gaye
I forgot my story

Kya kya nigah heh yaar me taseer ho gayi
What kind of gaze is this my friends? I have been affected

Bijli kabhi bani kabhi shamsheer ho gayi
Sometimes it (the gaze) becomes electricity and other times like a sword/dagger

Aisi Mili Hai Apni Nazar Us Nazar Ke Sath
My gaze has met her gaze in such a way

Sab Chornay Paray hai Mujhe Umar Bhar ke saath
I have had to leave all bonds I have built over the years

Mehfil Mein baar-baar uni pe nazar gai
In the gathering/concert, my gaze was constantly drawn to her

Hum Ne bachai Lakh Magar Phir Udar Gai
I tried 100,000 times to prevent it from going yet my gaze moved to her

Unki Nigaho Mein Koi Jaado Zaroor tha
In her gaze, without a doubt, there was magic

Jis Par pari usi ke jigar mein utar gai
On whoever her eyesight landed, she went into their heart

Hum pay aisa jadoo kiya Unki nazroo nay
Her eyes did some sort of magic on me

Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Her eyes did some sort of magic on me

Loot gaye hum toh pehli mulakaat mein
I was robbed on my first meeting with her

Sath Apna Wafa Mein Na Tutte kabhi
Never break your loyalty together

Pyaar Ki dor bhand kar na tutte kabhi
Never break the cycle of love

Chut Jaaye Zamana Koi Gham Nahi
Let time go, I don't feel any sorrow (meaning let the world go on I only care about us being together)

Haath tera rahay bas mere haath mein
Just let your hand be in my hand

Rutt hai barsaat ki dekho zid mat karo
It's raining, don't worry

Raat hai anderi baadal hai chahye huye
The night is dark and the clouds are here

Ruk bhi jaao Sanam tum ko meri kasam
Wait my love, I swear by me

Abh kaha jaoge aisi barsaat mein
Where will you go in this rainstorm?

Hai Teri Yaad Is Dil Se Lipti Hui
Memories of you are wrapped in this heart

Har Gari Hai Tasaburr tere Husan ka
Every second that goes by on the clock is a reflection of your beauty

Teri Ulfat ka Pehra lag hai Sanam
Your love is guarded my love

Kon aayege mere kheyalaat mein
If you leave who will come in my thoughts?

Aankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda hua chaandni raat mein