Bayaan
Hum Nadaan
Rangon, mulkon, dharmon mein yun batay ho tum ke
Goya ke ye sab sath lekay aye thay
Sadyon ke khoon bahane ka huwa kya hasil
Kya tum sanwar gaye?

Hmmmm.. (hum)
Kya din badal gaye?

Dolat nafrat ka khayl ye ghinouna kab tak?
Kab tak zulmat ke saamne jhukenge sar
Jaanenge kab, ek noor se banay hain hum or
Humee to hain nadaan

Fani ho tum or ye jahan
Daaim raha hai kon yahan
Ishq hi hai noor-e-azal
Ishq hi rab, ishq baqa

Zindagi mukhtasar hai to pyar karein
Kyu larein kyu hum apna shikaar karein
Nasl aik, aik rooh tou kyu na shar chor kar
Raasta ishq ka ikhtiyaar karein?