Void (Band)
DIL SE
Mere Alfaaz barf se bhi thande

Shaitaan tujhko thaame , bole Rab ke hain bande

Khole saare darwaaze jo tere liye band the

Hath dega inhe saale khichlenge kandhe





Haan abhi toh raat

Zarrori hai baat

Hum tere sath

Palko meh nayi aans

Ye saas Tera sath chode bina nahi manegi

Jang se Tu Darra Us Jung meh tujhe utaregi

Zindagi Kamini hai par tujhko hi toh Jini hai
Is karue sach ko paani meh milake tujhko peenee hai

Toh ye battein chor , man ke darwaaze khol

Apni simao ko Tod , pure jahaan se tu Bol







Ki ab Tum meri aawaaz suno , tum mujhse naraaz kyun

Meri khamoshi ke panno se jo Banti kitaab tum

Lamho ko mai nahi rok sakta ,par woh hath tum

Subah ke Intazar meh baithi hui raat tum ho





Gum ho lekin kya pata ye Milne se hai Behtar
Kayin baar battein dil sunleta hai Bina kuch kehkar

Behkar is paani meh , doobne ke dar ko tum dafnao

Agar jeetna hi hai toh isi pal me apni haar ko tum apnao



In yaddon ko ab hai mitana ? dil se hai



Berukhi ki battein karwana ? Dil se hai



Kahani adhoori par sunani, dil se hai



Roka kayione par batana , dil se






Sannate ko ——— tukdo me Tu tod

Un tukdo ko tu shor meh Badal de mod

Hasna chor , dusro ki khamiyo par , tu bhi

Apni galtion ke kandho par sikha yu hi

Ye Khel nahi , ye irado ka waar hai

Gangster nai, awaaz hathyaar

Do chaar Kadam meh thakna inkaar

Lambi race ke khiladi , maane na haar

Haar sakte par Na rukte apni manzil se nahi chukten

Apne sapne doosro ki battein sunke hum nahi buntein

Udtein aasma meh ,par ,Kadam apne zamnin par bartein

Apne khwabo ki parchayi par nigahein Bharti palkein



Ye sabdh rago meh behne de, un logo ko kehne de

Aaj dar ko piche rehne de, us dard ko sehne de

Intazaar mat kar ki ye log tujhe bole tu hai Kabil

Khud par bharosa rakh, Dar ko Bol kabhi ghar pe aa mil



Khel meh mai naya , baat ab purani

Gaurav se mile lekin void ko chua nahi

Bachpan se mai Void Hun

Asmaan meh dekh , full speed, asteroid hun





Apni in yaddon ko mitana apne ? dil se hai



Berukhi ki battein kar raha ? Lekin Dil se hai



Ye kahani abhi hai adhoori , lekin dil se hai



Roka kayi baar ise lekin aaj , phir se hai





Kasam Khuda ki ,Maine bujhadi

Saari awaaze , mujhe bulati

Thik thaak , haan Tu apne sarhad meh reh wahan theek paar

Yaar Haar , kar ye waar , karte

Jeet ka intazar karte ,lekin dusro ki Kamyabi se inke kaan jalte

Yaar kalthe ,kuch PalKe ab reh Gaye tasweer

Mai baitha chill kara thand meh in Kashmir

Apne aap ko dhoonde , is Khoj ka koi ant nahi

Yaha par koi Sant nahi , chore ye Tera wakt nahi