Fayyaz Hashmi
Aaj Jane Ki Zid Na Karo
Aaj jaane ki zidd na karo
Yoonhi pahlu mein baiṭhe raho
Yoonhi pahlu mein baiṭhe raho
Aaj jaane ki zidd na karo

Haaye mar jaaen ge ham to luṭ jaaen ge
Aisi baaten kiya na karo
Aaj jaane ki zidd na karo

Tum hi socho zara kyoon na roken tumhen
Jaan jaati hai jab uṭh ke jaate ho tum
Jaan jaati hai jab uṭh ke jaate ho tum
Tum ko apni qasam jaan-i jaan
Baat itni miri maan lo
Aaj jaane ki zidd na karo

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Chand ghaṛiyaan yahi hain jo aazaad hain
Chand ghaṛiyaan yahi hain jo aazaad hain
In ko kho kar miri jaan-i jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo