Ahmer
Gumrah
[Intro]
Woah
Haan
Woah

[Verse 1]
Dushman hai ye gussa mera
Loote jaise ghuspaithiya
Gair hai mere apne yahan
Gehre galtiyon ke nishaan
Ruki hui maazi ki fiza jaise
Main hua madhosh main jeetu kaise?
Woh chahti thi mujhe kaafi shiddat se
Par kismat ki fitrat toh biddat hai
Kaafi log khush jab inne dikhe mera dukh (Dukh dukh dukh dukh)
Ye chheene mera sukh, samne se rahe chup (Chup chup chup chup)
Kaisi yeh rishte jo nafrat mein khush? (Khush khush khush khush)
Hai dil ke ye kisse woh bole na ruk (Ruk ruk ruk ruk)
Ye dil hai wohi jo hai toota kayi martaba (Kayi martaba)
Ye dil hai wohi jo na jaane woh kyun hai khafa? (Kyun hai khafa?)
Hai pyasa nami na kahee sab hai banjar yahan (Banjar yahan)
Afsoos, iss manzar ki na koi dawa na shifa
Shayad main khud zimmedar
Shayad main bohot hi seedha (Seedha)
Duniya jahanum ka bazaar hai (Bazaar)
Aise karobaar mein main feeka (Feeka)
Mujhe maaf, mujhe maaf karna main inn sab ko poojta nahi (Poojta nahi)
Mujhe maaf, mujhe maaf karna mehnge kapdе pehnta nahi, aanh
Nashe karta nahi, inn sab se sadta nahi main (Aanh)
Khoya rеhta kahee, kuch kehta nahi main
Halato ne, halato ne chheeni chehre ki hasi par
Jazbato se, jazbato se zinda abhi (Abhi)
Meri shanakht toh ek kaghaz hi hai
Meri har saans bhi kiraye ki
Mera mahruu mera qatil bhi hai
Hai be matlab ki ye numaish bhi
Akhir hun ladta kis haq ke liye main?
Kyu likhta main? karta kyu gayaki?
Iss mein hi meri azaadi hai ab bas
Iss mein hi meri barbadi bhi

[Chorus]
Main iss sab mein, gumrah
Bha na kaesi hundh huh
Gum ha!
Poz wanun chu yeti manaa
Gumrah
Bha na kaesi hundh ha
Gum ha!
Poz ha karem aaz fanaa

[Post-Chorus]
Yath daedis na kah ti dawa (Kah ti dawa)
Fhaelio yeti saersi wabah
Kemsenz yi saeri khata (Khata)
Yeti marith ti sandaan nafah!
Gumrah
Bha na kaesi hundh ha
Gum ha!

Yeah

[Verse 2]
Hai dil mein bechaini si aksar
Sabhi toh chahte hai azmat
Main tujh se alag mujh pe has mat
Haan gaane banata main har waqt
Leke zamaane se fursat (Fursat)
Main na mukamal main aada hi (Haa)
Bana main kisi ka paida nahi (Haa)
Koi bhi saanp main paala nahi (Haa)
Par hai pachtawe bohot saare
Log sir pe chadha ke mere dil mein basa ke gila shikwa nahi
Jaise dal ke kinaare, ab doori hi raahat
Ye paiso mein taire mujhe parwah nahi
Udhaar na kisi ka koi karza nahi (Nahi)
Dekhu do aaine se, ek tarfa nahi
Mashoor hone ke liye main tarsa nahi
Agar jaan pehchaan na, hoti charcha na hi
Ye bhonkte jaise kutte jinne dikhe farishte
Tokte, hum na dekhe ye sab chup chaap rehke
Khouf na kissi ka, aaya muh pe keh ke
Kya bolu tum sab ko hum kya kya sehte (Sehte)
Aurat ki izzat se hume takleef
Badle aur phenke hum jaise kameez
Joh dikhta tujhe woh na hota shareef
Kya paaya hai ban ke ab tune ameer
[Bridge]
Sab rehne wala yahin pe
Insaan bane hum toh sahi hai (Sahi hai)
Ghar jaale dusre ka, hote khush
Khud ki na dekhi kami hai (Naa)
Jhoothe chunne tumne rehnuma
Joh karke batware phir alvida (Haa)
Bana ke mere ghar ko qabristan
Kya karu bayaan?

[Chorus]
Main iss sab mein, gumrah
Bha na kaesi hundh huh
Gum ha!
Poz wanun chu yeti manaa
Gumrah
Bha na kaesi hundh ha
Gum ha!
Poz ha karem aaz fanaa

[Post-Chorus]
Yath daedis na kah ti dawa (Kah ti dawa)
Fhaelio yeti saersi wabah
Kemsenz yi saeri khata (Khata)
Yeti marith ti sandaan nafah!
Gumrah
Bha na kaesi hundh ha
Gum ha!
Poz ha karem aaz fanaa