Talha Anjum
Aarzu
[Verse 1: JANI]
Half man, half cocaine
Young,dumb,broken
Pills I poppin
Yeah
Khae buhat dhokey
But I’m okay
Yeah
Yeah
Yeah
Muje sone nahi deti ab tanhai yeh
Ab kuch nahi he pass bas yehi ruswai hai
Me barha badikhlaq houn kbhi azmaiye
Me itna mukhlis houn mjhe mt bataiye
Apni anna me he itna magan me ker na loun khud ko fana mai
Ab derbadar hi bhatke hum toh brha bewafa he zamane
Khuda jane wohi likhta hai yeh zindagi ke afsaane
Mjhe hassad kiya hai kisi se ab sikhaya hi nahi mjhe maa ne
Kia kam parti hai dunia dua dene ke liye
Ya mujhe hi banadia ghum sehne ke liye
Mai sochta hun bas ye baatien khojta hun
Ya phir me kandhoun per laade bewaja ke bojh sa houn
Legend never die ham zinda rahenge marne ke bad bhi
Zamane se bat ki per qadar na kari kisi ne bhi art ki
Paisa muhtajgi tou kiya gaya kaafi nazar andaz bhi
Umeed inqalab bhi ki k uthega sooraj dhalegi ye raat bhi
[Chrous: Jokhay]
Saansien phool rahien baatien bhool rahien
Tootay aas magar manzil meri dur nahi
Ye mere khuwabo ki tabeerien fuzool nahi
Kaam bure phir bhi tore kuch usool nahi
Ke jaan vaar du hai itni gehri aarzu
Jo kuch kia jo kuch diya us hi se aaj hu
Tujko lagi hai jo mashoori ki wo pyaas hu
Mai sabkuch batanay ke bawajood bhi raaz hu

[Verse 2: Nabeel Akbar]
Raat sari bethe der tak mai sochta raha
Itnay saal apna aap ko me khojta rha
Mjhe lagta tha sunta hai koi nai pannon me bharta tha dil ka ye bojh sara
Ab pyaar bhejien log mujhe buhat saara
Ab yaar mere bolte sab buhat aala
Saalon diye mene apni kala ko hai koi to waja jo tu mjh tak nai pohnch paara
Kam likh rha mein hogya tha aalsi
Jaan leva mera kalam magar aaj bhi
Baatien karta mein khul ke jo raaz ki
Haq sach baat bolun sochta nhi bad ki
Zakham to mjhe bhi hein kaafi mile par jagah se hum apni zara na hile
Barsaat ke baad nikalta sooraj usi ki kiran se to podhe khilien
Phirse kharien chaahe jitni baar giren
Manzil wo paatay jo hotay sarphiray
Baatien ye bunyaadi fikar nai duniya ki ek hi to jaan dubara na mile
Shikway aur gile zakhmi ye dil hai
Pyaar ke bhookey koi apna na mile
Galti yehi ke ham karte bharosa ye ankhien khuli khaya apni se dhoka
Koi faida nai har waqt darne ka
Maut aygi jab waqt hoga marne ka
Jaan to jahaan ye sab imtihaan
Phat ta mai ghus ke jab waqt hota larne ka
Waqt bura ho to hat te khud sab peeche
Nai shaklien to mujhko har roz dikhien
Achay bure sath jin ke har din beete
Sath dene wale sath wohi ginti ke
[Chorus: Jokhay]
Saansien phool rahien baatien bhool rahien
Tootay aas magar manzil meri dur nahi
Ye mere khuwabo ki tabeerien fuzool nahi
Kaam bure phir bhi tore kuch usool nahi
Ke jaan vaar du hai itni gehri aarzu
Jo kuch kia jo kuch diya us hi se aaj hu
Tujko lagi hai jo mashoori ki wo pyaas hu
Mai sabkuch batanay ke bawajood bhi raaz hu

[Verse 3: Talha Anjum]
Murdabaad murdabaad
Galat baat galat baat
Farak saaf sarakchaap
Sarhad paar parastaar🇵🇰🇮🇳
Kalakaar khaien khaar
Rapper nahi adakaar
Bakrahay khurafaat
Munafa hai munafa
Meetha tu kunafaa
I’m the real king mufasa
Im so charged up osaka
Tu funny hai bro muzaika
Alamdaar asli desi hiphop
Tor nai meri is kalaa ka
Ready tu pull up any time beta
Tera waqt tera ilaaqa
Khana badosh hu dushman hu
Apna mai bas tera dost hu
Khoya hu khud hi mai
Aise muje apne andar na khoj tu
Zindagi canvas, guns drawn, dangerous
I need a murree strong chitaak hash aur ek benson
Wo chala hi ni jise mene krdia ho cancel
Views ki baat ni karrrha millions banaye hai last year
Cash me outside represent karu southside
Mushkile meri zindagi me buhat ayi
Dhokay diye mene thukre bhi buhat khayi
Bohat high, bogat high, bohat high
[Chorus: Jokhay]
Saansien phool rahien baatien bhool rahien
Tootay aas magar manzil meri dur nahi
Ye mere khuwabo ki tabeerien fuzool nahi
Kaam bure phir bhi tore kuch usool nahi
Ke jaan vaar du hai itni gehri aarzu
Jo kuch kia jo kuch diya us hi se aaj hu
Tujko lagi hai jo mashoori ki wo pyaas hu
Mai sabkuch batanay ke bawajood bhi raaz hu